Dil To Hai Dil, Dil Ka Aitbaar Kya kije Full Lyrics




Dil To Hai Dil, Dil Ka Aitbaar Kya kije Lyrics

Movie - Muqaddar Ka Sikandar

Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje

Yaadon mein teri khoyi
Raaton ko main na soyi
Haalat yeh mere man ki
Jaane na jaane koyi
Barson hain tarsi aankhein
Jaagi hai pyaasi raatein
Aayi hain aate aate
Hothon pe dil ki baatein
Pyaar mein tere, dil ka mere
Kuchh bhi ho anjaam
Bekaraari mein hai karaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje

Chhaye hain man pe mere
Madhosh naina tere
Ghere hain tan ko mere
Teri baahon ke ghere
Doori sahi na jaaye
Chain kahin na aaye
Chalna hai ab to teri
Palkon ke saaye saaye
Bas na chale re
Shaam savere leke tera naam
Dil dhadkta hai baar-baar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje