Movie - Yaarana
Tere jaisa yaar kahan, kahan aisa yaarana
yaad karegee duniya, teraa meraa afsana
Tere jaisa yaar kahan, kahan aisa yarana
yaad karegee duniya, tera mera afsana
Meree jindagee sanwaaree, mujhko gale lagake
baitha diya falak pe, mujhe khak se uthake
Meree zindage sanwaree, mujhko gale lagake
baitha diya falak pe, mujhe khak se uthake
yara teree yaree ko maine to khuda mana
yaad karegee duniya tera mera afsana
Mere dil kee yeh duwa hai, kabhee dur tu naa jaaye
tere bina ho jina wo din kabhee naa aaye
Mere dil kee yeh duwa hai, kabhee dur tu naa jaaye
tere bina ho jina, wo din kabhee naa aaye
tere sung jina yahan, tere sung mar jaana
yaad karegee duniya, tera mera afsana
Tere jaisa yaar kahan, kahan aisa yarana
yaad karegee duniya, tera mera afsana