Naseeruddin Shah Dialogues




  • Aapke ghar mein cockroach aata hai toh aap kya karte hai Rathore Sahab, aap usko paalte nahi maarte hai.

  • Saat mukaam hote hai ishq mein, dilkashi, unss, mohabbat, aqeedat, ibaadat, junoon aur maut.

  • Paap se dharti phati, adharm se aasmaan, atyachaar se kaanpi insaaniyat, raj kar rahe haivaan, jinki hogi taqat apoorv, jinka hoga nishana abhed, joh karenge inka sarvanaash, woh kehlayenge

  • Kuch hosh nahi rehta, kuch dhayan nahi rehta, insaan mohabbat mein insaan nahi rehta.

  • Dimaag aur dil jab ek saath kaam karte hai na, toh farak nahi padta hai ki dimaag kaunsa hai aur dil kaunsa hai.

  • Jisne kam mein jeena seekh liya, usse kabhi kami nahi hoti.

  • Sawaal jhande ke rang ka nahi hai, kyunki gareebi, bhukmari, bekaari, yeh sab rang puchhke waar nahi karti. Yeh pet ki maari junta hai saahab, ek roti ka aasra de dijiye, do meethe vaade kar dijiye, yeh kisi bhi rang ka jandaa utha lenge.

  • Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye, bus ek baar mera kaha maan lijiye, is anjuman mein aapko aana hai baar baar, deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye.

  • Jab sharafat ke kapde utarte hai, tab sabse zyada mazaa sharifon ko hi aata hai.

  • Heroine ki zindagi is like an elected government paanch saal tak party, uske baad support.

  • Aam aadmi ki tarah jiyo, aam aadmi ki tarah bardaash karo aur aam aadmi ki tarah marro.

  • Haath mein bandook lekar apne aap ko bahadur samajhna utna hi aasaan hai jitna kisi nihatte ko buzdil samajhna.